Duniya Me Satya Kya Hai~Mission Bhakti

Duniya Me Satya Kya Hai ~ Mission Bhakti



Duniya Me Satya Kya Hai ~ Mission Bhakti


Duniya me mratyu satya hai kintu ishwar param satya hai. jis prakar bina balb ke taar mein bijali dikhai nahi deti hai, usi prakar bina sat bhakti ke jeevon ke sharir mein vidyaman paramatma bhi dikhai nahi deta hai. bhagwan ki bhakti aur katha shravan karne vala vyakti jeevan mein kabhi matha nahi pitata hai. uska jeevan hamesha khushiyo se bhara rahata hai . bhagwan ki katha ka shravan se manav ke andar sadhuta jagrat hoti hai aur vah paramatma prapti ke marg par aage badhata hai. satya ki rah kathin hoti hai jo is rah par chalta hai vah kuchh dinon ke liye pareshan ho sakta hai. lekin akhir mein satya ki hi jeet hoti hai. jeevan mein jab bhi bura samaya aata hai tab manushya bhagwan ko yaad karta hai. achhe samaya mein manushya bhagwan ko bhool jata hai. yadi achhe samaya mein bhagwan ko yaad kar liya jaye to bura samaya aaye hi nahi. is bare mein kabir ji ne kaha hai.

Dukh mein sumiran sab kare, sukh mein kare na koe.
Jo sukh mein sumiran kare, to dukh kahe ko hoe.

Kabir Ji's devotional path can provide a successful direction to the person. Once you read the Gyan Ganga Book

Bhagwan bhav ke bhookhe hain jo koyi unhe man se pukarata hai prabhu uske pas daude chale aate hai. prabhu ki kripa ke bina vyakti ke jeevan mein sukh shanti ki prapti sambhav nahi hai. aur yahi manushya jeevan aur duniya ka satya hai. 

Post a Comment

Previous Post Next Post